How to start freelancing in Pakistan | Startup Guide for beginners |

These are some of the basic steps to follow, to get into freelancing field. Initially you have to invest at least 6 months to one year for learning.

Jo log freelancing start karna chahtay hain so basically freelancing start karnay say pahly apko basic computer ki knowledge honi chahiye or basic computer kay liye may suggest karta hun MS office ka course jis may ap nay basic computer ki settings sekhni hoti hai MS word, Excel, Powerpoint yh sari chezin ap nay sekhni hoti hain jab ap ko basic computer ka knowledge ho jata hai tw phr ap nay koi or advance course krna hota hai jaisy Graphic designing hogya Web development hogya digital marketing kafi sary courses hain so minimum ap nay 6 months ka course karna hota hai kunkay kam time mai yeh nai sekha ja sakta jis tarhan log kehtay hain ky 2 months ka course krna hai or phr ap lakhon kamaogy jo kay blkul is tarhan nahi hota step by step jana hota hai or thora time is mai lag jata hai thek hai, tw jab ap minimum 6months ka course kar laitay hain tw 6month mai apky sirf content cover ho jatay hain phir us may achi grip banany kay liye apna portfolio create karany kay liye ap nay internship krni hoti hai tw internship bhi must hoti hai or ap nay khin par bhi internship karni hoti hai, After that internship ap eligible ho jatay hain job kay liye or freelancing kay liye mai khud ek freelancer hun or job bhi karta hun Masia Institute say miny kiya tha course or kafi acha exprience rha hai or ishtiaq sir nay kafi acha trained kiya hai or mai kafi satisfied hun so ap logon nay b agr freelancing start krni hai tw is tarhan step by step jana hota hai kay basic computer ki knowledge honi chahiye or field choose karni hoti hai or i mai course karky ap nay internship bhi karni hoti hai takay ap ki achi grip ban jai or achi portfolio ban jai or phr ap job kren ya freelancing kren or yh frelancing courses kay liye ya jitnay bhi computer courses hain unkay liye mai suggest karta hun Masia Institute. Masia institute mai is liye suggest karta hun kunkay yahan par agr ap teacher ka experience dekhin tw ishtiaq sir ap ko parhaingy jin ka 16 years experience hai tw kafi ziada ap in sha Allah satisfied hon gay os kay ilawa masia ki ek or khas bat kay wo free retakes bhi dain gy jis bhi chez ka jis bhi module ka ap ko samajh nahi aya incase puray course ka ap ko samajh nhi aya tw ap blkul free of cost retake lay saktay hain is kay ilawa 2months ki internship bhi ap ko milti hai jis mai ap ko proper trained kiya jata hai freelancing kay liye or job kay liye ap ki personality grooming par kam kiya jata hai communication skills pay kam kiya jata hai ap ko office work bhi sekhaya jata hai or ap say portfolio bhi create karwatay hain jo kay ap ki job kay liye or freelancing kay liye necessary hota hai so is mai kafi saray ap ko favor diye jatay hain so is liye mai suggest karta hun Masia institute Thankyou.